Hoti hain yaksaan shaklen sab gar koi la saani na ho

Hoti hain yaksaan shaklen sab gar koi la saani na ho
Shayad gham na sataye kisiko gar shaadmani na ho

Sharaab nahin main e naab ho khumgah men gar teri
Mumkin hai ke saqi phir maikade men mastaani na ho

Aab e talatum kor chashm hai, kya be tahasha woh is liye
Darya gar wo dekh sakey to phir zaalim ravaani na ho

Vaaiz, yaqin, imaan, unsiyat ki kotahi hai  aaj kyon
Aisa na ho to aasaan ho puja aur bad gumaani na ho

‘Sahil’, qaza gar humsafar na ho sab ki zindagi ki
Shayad dunya phir itni vahshi aur deewaani na ho

Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *