Main girift e hadd men hun aur tum ho be karaan

Main girift e hadd men hun aur tum ho be karaan
Zameen ki bandish mujh per aur tum ho aasmaan

Muqabilon se to haasil na hua kisi ko kuchh
Rab ki jo samjhe riza wohi firasat ka hai nishan

Aag se dars lijiye pinhan us men hai yeh baat
Ke milta hai falak se ja kar udta hua dhuaan

Mubarak hon tujhe ai shaikh kaakh o gulzaar tere
Magar tujh se bartar hai bahot woh jo hai la makaan

Raat bhi kis qadr hai woh bad naseeb bechaari
Nazar na aaye jisey kabhi subh ka suraj ayaan

Zulmaton se kya ghabrana bata ai naseh tu
Jab nur e khuda dil men hai aur rakhta hai tu farozaan

Mustaqil to kuch nahin bahaar na khizaan koi
Pir na payambar, siwa khuda ke na koi jaavidaan

Zabt e sukhan kaifiyat hai ajeeb o ghareeb, ‘sahil’
Na samjhi kuch zubaan meri, ke thi wo aatish fishaan

Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *