Pur soz hai dil, kya yeh hoga abhi be taab kuchh aur
Pur soz hai dil, kya yeh hoga abhi be taab kuchh aur
Be sukoon bahot, kaash aaye ab sailaab kuch aur
Be bunyaad hai dil jaane kis per kab aa jaaye
Jaanaan, wafaayi ka to miley sawaab kuchh aur
Maana ke tu be bas hai qismat phir ghaafil kaun hai
Masaaib ki kya kami aaye to azaab kuchh aur
Chaand taarey dikhlaye, khwab iram ke tu ne
Ab dikhla hamen, shaikh, haseen saraab kuch aur
Mujhe rokogey tum in taaron ke qafas se kya
Chaaho to laga lo chund lohey ke baab kuch aur
Kitaab e muhabat to muamma hai, ya Rab
Riza ho teri to padh lun is ke baab kuch aur
‘Sahil’, bigarne ki hadd hai to batlaye koi
Varna, hona hai mujhe abhi kharaab kucch aur
Sailaab. Flood
Be bunyaad. Without foundation
Sawaab. Reward
Ghaafil. Negligent
Masaaib. Museebaten
Iram. Supposed paradise on earth, mythological
Saraab. Mirage
Baab. Doors
Muamma. Conundrum
Baab. Chapters
Ashok sawhny ‘Sahil’