Jaanaan, khizaan ki rukhsati hai bahaar hi bahaar hai

Jaanaan, khizaan ki rukhsati hai bahaar hi bahaar hai
Kyon munh banaye baithe ho kaho kis ka intezaar hai

Lutf khalwat ka apna hai yeh to maana hum ne
Per lagta hai ke ab tumhen khud se bahot pyaar hai

Zahn aur dil ka rishta hai naazuk to woh bahot
Donon ke darmiyaan to sirf ik sheeshe ki deewaar hai

Dhadakte dil se puchhiye us ki kya raftaar hai
Ginta nahin hai dhadkanen, dil men jiske qaraar hai

‘Sahil’, mashwara hi maan le, ik buzurg ki salaah
Ji le zeest tu is tarah goya zindagi udhaar hai

 

 

Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *