Subh ba khair

 

Qadr auron ki nahin to qusur ilm ka hai
Aaj zamaana hi mizaaj e barham ka hai

Taqaza umr ka ya phir ilaaj ka hai
Qusur chaarahgar ya marham ka hai

Dil roney per main to kh- mosh hi raha
Dagha to yaro num chashm ka hai

Aarzu, tamanna, woh hasrat ab kahan
Shauq bhi aaj kuchh kum kum sa hai

Yaqin hai mohkam, imaan bhi pukhtah
Per, sawaal us bala e vahm ka hai

Munfarid hai Rab phir bhi yeh fitne
Kalisa ho ya aur, muamla ahm ka hai

Peeri bhi ‘sahil’ aakhir zaalim hai bahot
Sawaal bas himmat ya apne dum ka hai

 

Ashok sawhny ‘Sahil’

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *