Dil roye to kya hua hamen to hans kar jeena hai

Dil roye to kya hua hamen to hans kar jeena hai
Chaak ho daaman to hamen usi ko phir se seena hai

Muqaddar ka hai faisla jo ho usey tasleem karo
Talatum ya sailaab koi bande tujhe hi usey sehna hai

Haq ke siwa kuchh nahin hai zindagi men sabaat
Jhoot ka libaas kaamraani se kab talak kisi ne pehna hai

Bata vaaiz tu hi bata haqeeqat is jahan ki kya
Khwaab kya, saraab kya, jab jeena khud ek sapna hai

Fitrat insan ki khalwat hai anjuman ho ya hangama
Hujoom men bata tu ‘sahil’ kya koi waqayi tera apna hai

Ashok sawhny ‘Sahil’

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *