Vaaiz bhoolen hain log aaj maqaam duaon ka
Hoga kya ab haal bata in majaazi khudaaon ka
Tere maikade ka lutf to kuchh aur hi tha saqi
Jab shumar na hua karta tha chhalakte pyalon ka
Aaj nasha bhi tabdeel huay baitha hai maayus
Kya hai koi paasbaan kahin be chaarey maikhwaron ka
Hisaab to dena hai munsif hum sab ko ik roz, phir
Yeh tujhe roz roz ka hisaab kya dena gunahon ka
Kabhi milte they dost yaar milte they woh baaraha
Nahin tha woh zamana pyaare aaj ke bahanon ka
Maqsad o mafhum e hayaat aaj badla hai bahot
Hai daur yeh qism qism ke ajeeb sailaabon ka
‘Sahil’, har su har fan maula hai jidhar dekh lo
Ab haal kya hoga tu bata hunarmandon ka
Ashok sawhny ‘Sahil’