Jisey pukhtah samahjte they woh yaqin to vahm nikla
Jisey pukhtah samahjte they woh yaqin to vahm nikla
Jisey samjhe they dushman woh to marham nikla
Pecheedagi insan ke jazbaat ki jaani hum ne tab
Jab qahr men uske pinhaan ik roz tabassum nikla
Humqadam humnawa woh umr bhar ka saathi tha
Ru ba ru woh ajnabi, saaya dekha to sanam nikla
Kufr o imaan humsafar hain manind e ranj o khushi
Samjha shab men kaafir jab raushan ik qadam nikla
Cheera dil insan ka jab tujhe charahgar phir kya mila
Yaro, ik kunisht o kalisa aur ik dair o haram nikla
Vaaiz, karta hai tu baaten kyon Rab ke riza ki
Jab ki dua qaza ki kisi ne, to haule se uska dum nikla
Saba thi, naseem thi, maujen woh bahaaron ki
Sab bana gayin ‘sahil’ ko woh, jab ik talatum nikla
Ashok sawhny Sahil