Kis kaam ki firasat agar zauq e nazar na ho

Kis kaam ki firasat agar zauq e nazar na ho
Teri raah per chalun aur tera ghar udhar na ho

Tere tasavvur se jaanam yaad aaye phir naseem
Per, yaaden hain saraab woh manzar agar na ho

Khazana woh kya jahan la’al o gohar na ho
Sadaf woh kya batao jis men gauhar na ho

Vaaiz, be hiss ko sunaye to raaeagaan ho sab
Khutbe ka kya fayeda gar us ka asar na ho

Kor chashm ki hayaat men andhere nahin hotey
Haazir hai nur e khuda gar shams o qamar na ho

Mukhbiri hai aisi is dunya men aaj, ai ‘sahil’
Jahan shab ko bhi kal subh ki, haif, kuch khabar na ho

Firasat. Wisdom
Zauq e nazar. Perception
Tassavur. Khayal
Naseem. Gentle breeze
Manzar. Nazara
Laal o gohar. Gems
Sadaf. Seashell
Raaegaan. Futile
Kor chashm. Blind
Shams o qamar. Sun n Moon
Mukhbiri. Espionage

Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *