Tahammul hota gar dil e muztar na hota

Tahammul hota gar dil e muztar na hota
Khuda jaane kya hota dil agar na hota

Jaasusiyat ka aala hai mahaul jahan men
Dil saadiq hai kaash zahn mukhbir na hota

Mahabat kya hoti gar dilbar na hota
Mushkil hota jeena agar humsafar na hota

Do din ki zindagi mazeed hoti to kya hota
Kya hota gar marna hi muqarrar na hota

Muhaal kyon hai samajhna do aur do chaar ka
Mai e naab na hoti gar aab e kauser na hota

Aaj khauf e khuda nahin hai kisi ko , vaaiz
Bata kya hota gar uska qahar na hota

Is kya kya ne kiya jahan ko tabaah ‘sahil’
Khuld hota gar shaitaan nahin qalandar hota

Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *