Us lams ki baat mat kijiye jis lams ne hamen ruswa kiya
Us lams ki baat mat kijiye jis lams ne hamen ruswa kiya
Hum ne us insan ko tab se phir us lams se juda kiya
Pindar e ulfat hai haq mera samajhte nahin ho baat kyon
Mukhalif is ke jo bhi aya be sakhta hum ne dafa kiya
Yaro, kya hai daaim, amar kya, hasti ka naam hi fana hai
Khaak ko khaak se milna hai, yeh khayal hum ne saja liya
Ek lams ek nafas jaan hai kul, khutbe hum samajhte nahin
Jahan haath miley na nigah koi, us jahan ko hum ne bhula diya
Jis khayal se hamen khushi miley usey to hum ne bator liya
Roodad e maazi hayat hai ‘sahil’ usey hum ne baqa kiya
Lams touch
Pindar. Pride imagination
Daaim permanent
Khutbe sermons
Roodaad e maazi. Life’s album/ account
Baqa eternal
Ashok sawhny Sahil