Lamhon ki baat kijiye dinon ki baat nayi
Lamhon ki baat kijiye dinon ki baat nayi
Dil se dil milne ki baat nigahon ki baat nayi
Neendon ki baat kijiye khwabon ki baat nayi
Paon taley zameen ho sarabon ki baat nayi
Mujhe gham se mila dijiye rona sikhla dun
Phir khaaron ki baat kijiye phoolon ki nayi
Kabhi aisa waqt na aaye maula tu hi kuch kar
Ke baaten hon haiwaanon ki , insaanon ki nayi
Aisa pukhta ho iman ke ja gumaan ko na miley
‘Sahil’ phir baat mominon ki ho duaon ki nayi
Ashok sawhny Sahil