Tasalli kab mili kisey jazba e haasil men kabhi

Tasalli kab mili kisey jazba e haasil men kabhi
Chain na mila jism ko rooh e muntaqil men kabhi

Be zubaan hotey hain zakhm vajh unki bataye kaun
Miley na jawaab koi zakhm e mundamil men kabhi

Hain manzilen saraab sab miley ret ke siwa kya
Zinda sabke dil men chaah gaam ho manzil men kabhi

Umeed kya basayen zeest dil men hum tere liye
Mehr kis ne dekhi kab nigaah e qaatil men kabhi

Na jaane guzre lamhe kitne is aarzu men ‘sahil’
Ke ho sukoon haasil mujhe dhadakte dil men kabhi

Jazba e haasil. Desire to obtain. Covet
Rooh e muntaqil.  Transported soul
Mundamil. Healed
Saraab. Mirage
Gaam. Qadam
Zeest. Zindagi
Nigah e qatil. Eye of the killer

Ashok sawhny ‘Sahil’

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *