Ya rab, jab aashiq hain sab tere naam ke
Ya rab, jab aashiq hain sab tere naam ke
To phir kyon yeh jhagre rahim o ram ke
Pandit o mullah o paadri sab ke kalaam per
Fitne, namaste goodbye aur dua salaam ke
Sukoon ki justaju men pareshaan hai Insan
Jab maujud hain anaasir dil men sabke aaraam ke
Nahin hai dilchasp koi shai tere yaan, saqi
Bas, saharey chahiyen rind ko mai o jaam ke
Daulatmandon ki hai yeh duniya, yaro
Kaun sunta hai alfaaz kisi ghulaam ke
Safinon ka sahara hota hai sahil, bas
Ret per chalnewalo, rehte nahin nishan gaam ke
Itni dur ja chuka hai insan haqeeqat se aaj
Ke saraab bikte hain baazaaron men dawaam ke
‘Sahil’, kyon na samajhte hain log itni si baat
Raaste sab ek hain, aur woh hain bulaawey anjaam ke
Sukoon. Contentment
Justaju. Talaash
Anaasir. Elements
Mai o jaam. Wine n Cup
Alfaaz. Words
Safinon. Ships
Sahil shore
Gaam. Footstep
Saraab. Mirages
Dawaam perdurability
Anjaam. The end