Kya tamannaon o duaon se

Kya tamannaon o duaon se
Qismat kabhi badalti hai
Jab zindagi ki gaari ‘sahil’
Muqarrar raah per chalti hai

Barfen bhi to padti hain
Baarish bhi to girti hai
Zeest ki kashti bhi to yaro
Chalte chalte rukti hai

Yeh rukna chalna, aana jaana
Hai zindagi ka yeh fasaana
Isi men ranj o gham bhi shaamil
Isi men dil ko hai behlaana

Shaam savere bahot hain pyaare
Qismatwala khush guzaare
Dhundta hun maazi men ab
Main jeene ke chund sahare

Manjdhaar men na jaane kashti
Darya ki shokhi o masti
‘Sahil’ , door kitna hai kinara
Mohkam kitni hai ab hasti

Ranj o alam nahin hai yaro
Sab ki daastaan yehi hai
Sukoon bahot hai falsafe men
Asliyat aasaan yehi hai
Ashok sawhny ‘Sahil’

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *