Ik umeed hi to ik aah men nihaan hai

Ik umeed hi to ik aah men nihaan hai
Ik gul men zinda ik tukhm pinhaan hai

Jo utha karti hai ban kar dhuaan, raakh hai
Uthey jo sulagtey dil se woh fughaan hai

Chhupa lo beshak haal gham e dil ka tum
Jaanaan, ik chashm e num men sab ayaan hai

Gul hai sar nigoon kyon aaftaab ke aagey
Kyonke har baat me nahin sood o ziyaan hai

Jannat, dil men kisi ke kabhi aasamaan men
Vaaiz, tu hi bata firdaus kahan hai

Inkaar nahin karta rab ke honey se woh
Kaafir ka mahz kum pukhta imaan hai

Na sach na koi jhoot haqeeqat hai faqat
‘Sahil’, kya yeh tera hi khud ka bayaan hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *