Kuch aisa likh ‘sahil’ jo dil ko chhua karey

Kuch aisa likh ‘sahil’ jo dil ko chhua karey
Pathhar dilon ko jo narmi samjhaya karey

Zabardast zururat hai jahan ko in baaton ki
Aisa likh jo khud gharazi ko bhi mitaya karey

Insaniyat se badh kar to jazba nahin koi
Hamdardi ki kaifiyat bhi to batlaya karey

Aaj is qadr zaalim hai be hissi insan ki
Ke khuda se bhi ab, woh na dara karey

Majaazi khuda to behra hai jidhar dekhiye
Behra aisa, ke Rab ki bhi na suna karey

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *