Story/Poetry

Naseem thi ya nava e raftah koi

Naseem thi ya nava e raftah koi

Baazgasht ya saba ahista koi

Raftaar e tufaan ho hawas ko mubarak

Mahabat to hoti hai raftah raftah ji

Khwabon ke maalik hain khufta lekin,

Be daar Insan to pareshaan hai Bhai

Hangama ba pa hai jidhar dekhiye

Kab dekhenge chehra hansta koi

Nadaan na samajhna hawaon ko, ‘sahil’

Pahunchati hain manzil tak, woh dua aur aah bhi

Naseem. Saba. Gentle Breezes. Zephyr

Baazgasht. Echo

Raftaar e tufaan. Speed of storms

Hawas. Greed lust

Raftah raftah. Slowly

Khuftah. Asleep

Be daar. Awake

Hangama ba pa. Turmoil everywhere

Manzi here is. To god

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *