Aaj unsiyat nahin hai kisi ke man men
Aaj unsiyat nahin hai kisi ke man men
Na dilchaspi koi sukun o aman men
Shauhrat ke mushtaq, sarwat ke aashiq
Masroof hai dunya har qism ke ghaban men
Sailaab men dubaao tabahi machao
Goliyaan barsao logon ke badan men
Mehakte gulshan se koi puchh kar bataye
Kyon khushbu nahin hai aaj gulaab o saman men
Bulbul ka nahin jab raaj khaaron ka hai
Batao gul kya khilenge phir kisi chaman men
‘Sahil’, be haal hai dunya be sukoon hain log
Aaj khuda bhi kahan hai is zaalim zaman men
Ashok sawhny ‘Sahil’