Jo tufaan ka rehta hai muntazir woh sahil hai
Jo tufaan ka rehta hai muntazir woh sahil hai
Jalta rahey jo umr bhar woh raushan dil hai
Dekha ho chaman ko jis ne jalte huay kabhi
Usi ko phir dosto mere shola e gham haasil hai
Raakh dekhi to kya dekha bas dil bujha hua
Raakh to sab ki likhi hui intehayi manzil hai
Mahv e khuda men ghuroob hai dervesh
Ya phir us ka junoon ek raqs e bismil hai
Aasaan kya hai naaseh ab tu hi bata
Hum jaante hain jeena khaasa mushkil hai
Vaaiz, faani hai sab kuchh Rab ke jahan men
Sirf aamad o raft hi to mustaqil hai
Bas, andaaz e bayaan ki baat hai ‘sahil’
Kal ki subh kahen usey ya woh mustaqbil hai
Ashok sawhny ‘Sahil’