Yeh tifl o nadaan kyon kehti hai dunya mujhe

Yeh tifl o nadaan kyon kehti hai dunya mujhe
‘Sahil’, is dunya ko baaqi hai samjhaana mujhe

Aaj nadaani ki zururat hai jahan ko bahot
Kya kar rahi hai daanayi koi to batlaana mujhe

Ijaaradaari hai kis ki ab firasat per yahan
Aalim hai kaun aisa, shakl uski dikhlana mujhe

Hamdardi na pyaar na mahabat koi, na kahin
Amn o chain o shanti se, to milana mujhe

Jannat ko zameen per yeh laaye hain kaise
Kisi majaazi khuda se to milana mujhe

Nuskhe hain sab pe har marz ke yahan
Ab koi chain ki neend to sulana mujhe

Ai ahl e siyaasi, dars bachon se lo tum
Unsiyat un se seekho phir batlaana mujhe

Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *