Bandagi men doob jao to bartar hoga
Bandagi men doob jao to bartar hoga
Ruhaniyat men hi aala manzar hoga
Mahabat ki naao men baith kar to dekho
Sukoot e sumundur to humsafar hoga
Gar mahabat men thodi parastish tum bhar lo
Sukoon ka andaaza bahot behtar hoga
Maana ke valvale to uthenge zurur
Per sukun bhi to mukammal andar hoga
Kabhi qalb e momin se pooch kar bhi dekho
Dil men ibadat ka sumundur hoga
Mera maaanana hai ‘sahil’ ke shaitan ke bhi
Baatin men pinhaan ik qalandar hoga
Ashok sawhny Sahil