Chalo shaam guzaaren nadi kinaarey
Chalo shaam guzaaren nadi kinaarey
Mehmaan honge sirf chaand sitaarey
Tumhare chowk se, meri gali se
Per honge sab woh apne pyaare
Banda Rab ka be hiss hai itna
Jo insan ko insan na pukaarey
Unsiyat kya hai yeh na jaaney
Subh shaam tanha tanha guzaarey
Aaj door itna hai khud se insan
Khud ko bhi jo na sanwaare
Dosto, jo khud se ho yun ajnabi
Woh dega kis ko kya saharey
Khud ko sambhaal ai bande tu
Auron ko tu mat gira rey
Jab haal bura hai dunya ka
‘Sahil’, tu to hamara dil behla re
Ashok sawhny Sahil