ENTERTAINMENTStory/PoetryTRENDING NEWS

Guzarte lamhe ko aur lamha mila

Guzarte lamhe ko aur lamha mila
Hum ne to socha ik zamana mila
Bad duaen nahin duaen mileen
Wafa ka sila to khub umda mila
Khaaron ko samjha paasbaan jinhon ne
Sabaq un gulon se to aala mila
Deewaanon ki mehfil men kya kya mila
Aalim miley, tajruba turfah mila
Khoya jab apna janaaze pe jism
Zameer hamen yaro kul zinda mila
Dushmani teri jab maut se yaad aayi
Ai zeest, jeene ka aur bahana mila
Chhutkaara mila aaraam mila zurur
Parastish men sukoon suhana mila
‘Sahil’, khutbon men hamen to kuch na mila
Per mahv e khuda men to khuda mila
Sila reward
Paasbaan. Chowkidaar
Tajruba. Experience
Turfaah. Ajeeb
Zameer. Conscience
Mahv e khuda. Absorbed in prayer
Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *