Phoolon ki bahaar men shaamil hotey hain chund khaar bhi

Phoolon ki bahaar men shaamil hotey hain chund khaar bhi
Jaise raqeebon ki mehfil men hotey hain kuch yaar bhi
Kisi ke samajh men aaye to keh dun main dosto
Jazba e nafrat men chhupa hota hai pyaar bhi

Har haan ki god men basta hai inkaar bhi
Har lamha tumhara to hai kuchh musta’ar bhi
Iman ke siwa pukhta aur mustaqil kuchh nahin
Shajar ko tark karte hain us ke barg o baar bhi

Deewaane hotey hain jahan ke hoshyaar bhi
Bahot kaam ke is duniya ke log be kaar bhi
Khaak hai tu bande tukhm tujh men kayi hazaar
Sahil ke tamashaiyo tum se hain sab us paar bhi

Qabliyat ke ‘sahil’ hain be shumaar daawedaar bhi
Kaash, insan ko bakhshe Rab kuchh to qaraar bhi
Madad kijiye Maula ki baat samajh kar, ai insano
Hoti hai subh o shaam aur zeest men jeet o haar bhi

Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *