Lar rahen hain sab sabhi se, kaho hum kis se laren

Lar rahen hain sab sabhi se, kaho hum kis se laren
Tanhayi men ab apni hum, chalo khud se hi milen
Momin hain, qahr e khuda se, waaqif hum ba khub
Tujh se phir ai shaikh hum, bol kis liye aur kyon daren
Taskeen gurezaan hai aaj, kis goshe men jaane chhupi
Mushkil ho jis ki justaju, usey kidhar, kidhar dhunden
Shaam e hayaat ko le kar ab, hum sahil per hain kharey
Rahen kab talak yun muntazir, kab talak aahen bharen
Haaye yeh dunya kaisi hai yaro hum kya karen
Fursat miley maidaan e jung se to chain se phir maren
Andheron men rakh dil farozaan, hausla mubarak ho, ‘sahil’
Khushi se jeete hain wohi jo, himmat ko apni na haaren
Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *