Sada e Ba Shaoor
Sada e Ba Shaoor,
Dekh hangaame aaj ke boli sada e ba shaoor
Tu bata ‘sahil’ mujhe mujrim main kisey thahraun
Zee fahm o hoshmand kehlaatey ho tum sab
Magar, ba shaoor aaj kahun hai, kisey kahun
Har su hai tabaahi jidhar bhi dekhiye
Ghaarat ki yeh daastaan main kahan sunaaun
Tula ho karne ko jo khud ko naist o naabood
Us ke bachao ke liye main kaho kisey bulaun
Duaon ke siwa nahin hai chaarah kuchh, lekin
Aasaan si yeh baat kaise aur kisey samjhaun
Be shak hai fana dastoor e qudrat, magar
Insan khud maut ko bulaye to main kya karun
Khuda bhi dekhta hoga har su ki maara maari
Na kuchh karey woh maalik to main kahan jaaun
Shayad sochta hoga Rab bhi to woh kabhi zuroor
Is deewaanagi ka ilzaam sar apne main kyon lagaun
Barbaadi be inteha aur naam us ka aaj hai taraqqi
Koi sun ne wala nahin, main naalishen kya sunaun
Sada e ba shaoor Voice of Reason
Zee fahm thoughtful wise
Ghaarat gari devastation
Naist o nabood annihilate
Ashok sawhny ‘Sahil’