Jazba e shaadmani ho dil ke khaanon men

Jazba e shaadmani ho dil ke khaanon men
To kya rakha hai rang o bu e gulsitanon men

Tere tai khaane men khazeena kya hai, shaikh
Mahaul ja kar dekh kisi gharib khaane men

Kh-moshi, woh sukoon, woh ruka hua waqt
Na miley jo kisiko bhi in aasmaanon men

Muqabile zamaanon ke makrooh o na gawaar
Achha bura to hota hai sab insanon men

Is ghadi ka lutf le phir bata, ‘sahil’ hamen
Badgumaani kya thi tere gumaanon men

Koi aalim samjhaye yaro taabeer zamanon ki
Tafreeq batlaye insan aur haiwaanon men

Khudaya, mita nafraten jahan se, varna
Kaun bachega dahshat gardi nizaamon men

Shaadmaani. Joy. Happiness
Khazeena. Treasure
Makrooh o na gawaar. Odious. Unpleasant
Badgumani. shak mistrust
Gumaanon. Surmise
Taabeer. Interpretation
Tafreeq. Difference
Dahshat gardi nizamon. Organised terror , vandalism

Sent from my iPad

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *