Bharosa nahin taabindagi ka koi

 

Bharosa nahin taabindagi ka koi
Sila nahin hota hai bandagi ka koi
Har sawaal ka jawaab laazim to nahin
Zaamin hai nahin asoodagi ka koi

Apna hai mazaa sab gardishon ka
Badalte zamaane aur mausamon ka
Pighalti barfen aur vaadiyon ka
Thaharte waqt aur ravaaniyon ka

Jaati bahaar se pyaar zyada mat karna
Khizaan o simoom se tum zyada mat darna
Yaro, har cheez ki hadd hoti hai, hamesha
Jazbaat apnon se tum rozana mat larna

Yaad aaye jab meri to muskura lena
Aur talkhi ko dil se yun mita dena
Yehi hai tareeqa jeene ka, ‘sahil’
Dil apne ko tu yun samjha lena

Taabindagi. Raushni
Asoodagi. Contentment
Gardishon. Chakaron. Vicissitudes
Ravaniyon. Flows
Simoom. Hot winds
Talkhi. Bitterness

Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *