Daagh to daagh hai phir daagh e daaman kya hai
Daagh to daagh hai phir daagh e daaman kya hai
Taskeen nahin to aaram e kafan kya hai
Hayaat khud kahani hai uska fasana kya hai
Vaaiz, qaasid nahin to yeh shirin zubaan kya hai
Humsafar ka hona har haal men hai ghanimat
Umr bhar saath na de to yeh tan man kya hai
Aate rahen anfaas to jeena bhi asaan hai yaro
Batao, phir har baat men tumhen uljhan kya hai
Mustaqil nahin hai bahaar khazaan ko aana hai
Is men bhala qusur be chaarey chaman ka kya hai
Subh shaam ka tamasha kaarwaan e shab o roz
Musalsal ravaani nahin to yeh darpan kya hai
Jagaana,uthaana, mazeed khuftagi se bachana
Naaseh, namah bar nahin to suraj ki kiran kya hai
Jaanam, farz banta hai tera har haal men khush rehna
Aakhir mehakna nahin to phir kaam saman ka kya hai
“Sahil”, yeh zaat paat ki baaten to samajh aati nahin hamen
Khuda ke bande nahin to kya vaaiz, barahaman kya hai
Qaasid. Messenger
Shirin. Sweet
Anfaas. Breaths
Mustaqil. Permanent
Musalsal ravaani. Continuous flow
Mazeed. Zyada
Khuftagi. Sleep
Paighaam bar. Messenger
Kiran ray of light
Saman. Jasmine flower
Vaaiz. Preacher