Gharon men nahin dilon men daakhil hona hai
Gharon men nahin dilon men daakhil hona hai
Zururi hai agar chain ki neend sona hai
Yaro gar khud ko khwabon se milaana hai
To ana ko apni har haal haraana hai
Jaane kis qayamat ki baat karte hain hum
Har su hangaame aur kaunsi qayamat ko aana hai
Dosto yeh aitmaad majaazi khudaon per kaisa
Khudaya tujhe hi inhen samjhaana hai
Aaghaaz e hayat maalum hai, baat safar ki hai
‘Sahil’, kya dikhlati hai taqdeer, yehi dekhna hai
Ashok sawhny Sahil