Aashiyaan nahin kaarvaan to bas kaarvaan hai

Aashiyaan nahin kaarvaan to bas kaarvaan hai
Taaron ka nahin hamara bhi woh aasmaan hai

Thahr bhi jaaye waqt to phir kya hai batlao
Gham e dahar to phir bhi har aan ravaan hai

Kya pyaar nahin sauda hai mahabat yahan ab
Na ho paas e wafa to kis kaam ka imaan hai

Aftaab ne navaza hai mahtaab ko noor, be shak
Is liye chehra bhi us ka darya men ayaan hai

Na farishton ki khabar na jannat ka pata
Rab aur insan ke kya ab, iblees darmiyan hai

Insaniyat ki taabeer aaj kya hai, ai ‘sahil’
Koi yeh to batlaa de kya insan aaj insan hai

Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *