Main khaak hun, koi zariya banaya Rab ne, uski mehr

Main khaak hun, koi zariya banaya Rab ne, uski mehr
Ghaflat men na bhoolna yaro maalik ka tum qahr

Zamin badi ya aasmaan, andaaza yeh apna apna
Nadi na jaane darya kya, na sumundur jaane behr

Charche umr daraaz ke, lamhaat ke, hisaab kaisa
Ek nafas se doosra, naam hayaat, sab mukhtasar

Is qadr hai faramosh, bhoola insan khuda ko
Momin kaun, kaun kaafir, dervesh, kaun qalandar

Kya insan ki jahalat se pareshan hai  khuda
Kufr ka zamana aisa sab iltejaen, sab duaen, be asar

Rava na rava, haal kya, kya mustaqbil ‘sahil’
Haqeer kal aala, raja kal rank, sab zer o zabar

Ashok sawhny ‘Sahil’

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *