ENTERTAINMENTStory/PoetryTRENDING NEWS

Hamen yeh na samjhao mukhbiri kya hai

Hamen yeh na samjhao mukhbiri kya hai
Bas itna bata do ghalati hamari kya hai

Rang se, mazhab se, zuban se intekhaab
Tu hi bata insan is men hoshyaari kya hai

Khuda ek hai jis naam se chaaho bulao
Jahan men phir yeh tarafdaari kya hai

Is musht e ghubaar se insan se to koi pucche
Aaj ana o takabbur ki sawaari kya hai

Naseh, fusoongar kaun masiha kaun
Ahl e siyasat se puchh madaari kya hai

Yaqin na unsiyat na insaniyat kahin
Bad gumani ki aaj bemaari kya hai

Khudaya tu hi bata is jahan ko apne
Yahan kis ki kaunsi zimmedaari kya hai

‘Sahil’, jahan ko chhord bas yeh bata de
Yahan se teri aamad o raft ki tayyari kya hai

Amad to ho gayi hai yaro, zaahir hai baat
Magar main kya bataun raft ki baari kya hai

Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *