Apne mukhatib shajar ka patta hun main
Apne mukhatib shajar ka patta hun main
Usi ki saanson se to jeeta hun main
Shabnam jo girti hai falak se yahan
Usi ko dekh kar phir sochta hun main
Rulaati hansaati hai os woh haseen
Tabhi to rota aur kabhi hansta hun main
Mere aansu zamin ko to na karen zarkhez
Aasmaan ko phir sajde karta hun main
Parindon ka aana, aa kar phadphadana
Phir unhin sang hawaaon men udta hun main
Rishta gehra hai kitna qudrat se hamara
Dekh kar yeh sab kuch samahjta hun main
Aaj haryaali ko ‘sahil’ bata kya hua hai
Yaro taraqqi ke yaan qurbaan hui, sochta hun main
Mukhatib shajar, tree in front
Shabnam. Dew
Zarkhez. Fertile