Ru e darakhshan, khush qismat wo ayena

Ru e darakhshan, khush qismat wo ayena
Afsos ke woh aks hamara na tha

Jhumta dervesh kul mahv e khuda
Haif, ke haseen raqs hamara na tha

Munsif, paimaan dekh kar phir kuch kehna
Is muamle men naqsh hamara na tha

Andaz apna apna, dhang sochne ka bhi
Per fitnon ka to pakhsh hamara na tha

‘Sahil’, baaten saari sun lin tu ne, per
Woh qaasid magar shakhs hamara na tha

Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *