Saturday, November 2, 2024
Latest:
Story/PoetryTRENDING NEWS

Gham e dil ki zubaan hai chashm e num ki sada,

Gham e dil ki zubaan hai chashm e num ki sada,
Kaho alfaaz ki zururat hai ranj o alam ko kya

Vajh kya thi kya hai in zakhmon ki kaho
In baaton se waasta hai marham ko kya

Jeena to khel hai sirf anfaas ka, yaro
Tumhaare aur mere hai dum ko kya

Kal subh ki dekhi hai kiran aaj kis ne
Vaaiz, is baat ka ta’aluq hai hum se kya

Tu momin hai ‘sahil’ imaan tera pukhtah
Kisi aur ke tujhe hai vaham se kya

Ashok sawhny ‘Sahil’

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *