Kabhi hoti thi dunya milan saar be hisaab

Kabhi hoti thi dunya milan saar be hisaab
Aaj ashkon ke dekho aabshaar be hisaab

Mayassar hai sab kuch ameeron ke paas
Phir bhi dil be qaraar, iztiraar be hisaab

Lagan un ki hai aisi daulat se be karaan
Hai rishton men oonchi deewaar be hisaab

Yaad aata hai Rab, mushkilon men sab ko
Ghaafil log aise , khud mukhtaar be hisaab

Farzi o munafiq hai dunya aaj kitni
Khud parasti aur khud se pyaar be hisaab

Samajhe jo vajh be qaraari ki apni
Wohi paaye phir ‘sahil’ qaraar be hisaab

Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *