Misl e jahan, aab e darya to la saani hai
Har qatra, har lams, hi jaavidaani hai
Barg o baar, baad o baaraan, zulmat e shab
Sham’a e shabistan, subh farozan, zindagani hai
Har shai ki jagah apni gul o khaar ko dekhiye
Khaaron ka chaman men hona hi nigahbaani hai
Sahil woh kya jo tamashayion ka yaar na ho
Aur sumundur jo na keh sakey, tughyani hai
Is qadar khud gharaz hai aaj insan, ‘sahil’
Ke bhoola hai rah e khuda ka naam to qurbaani hai
Ashok sawhny Sahil