Khudayi na rahi to khuda ka kya hoga

Khudayi na rahi to khuda ka kya hoga
Phir yeh bhi to socho hamara kya hoga

Dafna kar zamin men fikr auron ki kahin
Phir puchhte hain log mera kya hoga

Zamin per kisi se nahin banti kisi ki
Falak men na raha dost to sahara kya hoga

Deewane namrood se aawara hain har ja
Andheri in raaton ka savera kya hoga

Dekhnewala na dekhe, ai naaseh, agar
Mazeed is se phir andhera kya hoga

‘Sahil’, kyon deta hai tu naseehat sab ko
Zameer apne ki sun varna tera kya hoga

Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *