Tere maikade ka lutf kuchh aur tha saqi
Tere maikade ka lutf kuchh aur tha saqi
Jab shumar na hua karta tha pyalon ka
Aaj nasha bhi tabdeel huay baitha hai
Haal dekhiye be sahaarey maikhwaron ka
Hisaab to dena hai ik roz sab ko, ai munsif
Phir yeh roz roz ka hisaab kya gunahon ka
Mila karte they dost yaar milte they barabar
Woh nahin tha zamana aaj ke bahanon ka
Maqsad o mafhum e hayaat badla hai bahot
Daur hai yeh ajeeb qism qism ke sailaabon ka
Har fan maula har su har ja, dekh tu ‘sahil’
Haal kya hoga khuda jaane hunarmandon ka
Ashok sawhny ‘Sahil’