Kabhi khuda ka naam khuda hi tha

Kabhi khuda ka naam khuda hi tha
Phir daulat ne woh naam loota
Bhagwaan bana angrezi men
Paison ka woh boota

Mammon us ka rakha naam
Cannon chalana us ka kaam
Bandookon ka hai raaj, ‘sahil’,
Kyon karte hain khuda ko badnaam

Aaj sab kuchh seenazori hai
Missile na ho to kamzori hai
Karigaron ki to mauj hai yaro
Hera pheri kahin chori hai

Ram ka naam liya jaata hai
Tawaaf bhi kiya jaata hai
Per, kya maangte hain log dua men aaj
Naam to sarwat ka liya jaata hai

‘Sahil’, badzan aur mashkook tu kyon
Waqt to sab ka apna hai
Ab ban ja tu bhi kaarigar
Tujhe patangon ka “Lahori” sapna hai

Ashok sawhny ‘Sahil’

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *