Dosti ke naam

Dosti ke naam

Dekh vaaiz tu bhi dekh aaj jaan kitni sasti hai
Shaan o shaukat, majazi daulat, saraab si yeh hasti hai

Guzarti hai jhamelon men subh se shaam sab ki zeest
Aur umr bhar yeh zindagi sirf amn o chain ko tarasti hai

Kuchh bhi nahin sarmadi na hi lamha koi javed
Dunya saari faani hai darya men sabki ki kashti hai

Dars deta hai woh sab ko jeeney ka tareeqa, suraj
Har subh ki woh jaan hai, har shab taaron ki masti hai

Shaikh, salaam kiya tujh ko roz, per sajde kiye maula ke
Duniya teri bhaley zurur magar khuda ki yeh basti hai

Humsfar jo sab ki hai, woh manaati hogi saalgirah bhi
Sochta hun dosto kabhi, kya maut hayaat per hansti hai

Naam kama le haasil kar le jo tu chaahe, ‘sahil’ magar
Sab se awwal is jahan men kuchh nahin, bas dosti hai

Majaazi. Worldlyj
Saraab. Mirage
Dars. Lesson
Sarmadi/ Javed. Eternal

Ashok sawhny ‘Sahil’

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *