Ilteja, Darwaza Khol Kar To Dekh

Ilteja, Darwaza Khol Kar To Dekh

Teri dehleez per umeed banaye baithe hain
Dastak de kar sham’a jalaye baithe hain,
Jaanam, na kholey tu dar to kya hua
Muztar dil ko hum manaaye baithe hain

Haqeeqat ka saamna aasaan nahin
Khwabon me khud ko jhulaye baithe hain,
Kabhi to zulmaton ka parda uthega
Kiran subh ki ka aas lagaaye baithe hain

Kehte hain dunya ghoomti hai
Hum to khud ko ghumaaye baithe hain,
Justaju sab ko sukoon ki hai, aur hum
Khud ko tere dar pe ganwaaye baithe hain

Kuchh to soch, hamdardi ka naam to suna hoga
Kisi aur ke dard o ranj o alam ko yeh kehte hain,
Dil rota hai jab, muztar rooh tadapti hai bahot
Aansu darya o qulzum se mazeed behte hain

Zaalim hai dunya, be dard hain log, tu bhi dekh le
Andheri hai raat bujh jayegi sham’a, tu bhi dekh le
Mumkin tera dil bhar aaye, niyat teri badal jaaye
Sardi hai jaanaan, baahar hain hum, tu bhi dekh le

Iltejayen itni to kabhi khuda se na keen
Pursish kar le us se gar na ho tujhe yaqin,
Darwaza zara khol kar to dekh dehleez ko apni
Shayad tujhe taras aa jaaye, na sahi taskeen

Aameen

Ashok sawhny ‘Sahil’

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *