Story/PoetryTRENDING NEWS

Jigar hai, jigar bulaiye, woh dil ab hai kahan

Jigar hai, jigar bulaiye, woh dil ab hai kahan
Insaan ko to chhord chuka, woh muntaqil ab hai kahan

Daurta nahin ragon men jab lahu mera ab
Kya puchhte ho yaro mujhe, rota dil ab hai kahan

Saboori ka nishaan nahin jahan men aaj kahin
Riste zakhm hain har jagah, mundamil ab hai kahan

Lambi judayi, lambi baaten, baaten bhi taweel sab
Koi yeh to bataye baat woh mustaqil ab hai kahan

Qahar e khuda se darta hoga,  shayad is liye kaafir hai woh
Jo banta hai daler bahot, woh buzdil ab hai kahan

Aankhon ke sumundur men jab sahil ab hai nahin
‘Sahil’ tu hi mujhe deekhla meri manzil ab hai kahan

Ashok sawhny ‘Sahil’

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *