Ab maazi na mustaqbil bas haal hi haal hai

Ab maazi na mustaqbil bas haal hi haal hai
Ai zindagi, tera yeh kaisa kamaal hai

Daur yeh waqt ka, waqt ke guzarne ka
Jab kuchh na aasaan na kuchh muhaal hai

Mah o anjum darakhshaan, phir urooj e aftaab
Ya khudaya, yeh kaisa jah o jalaal hai

Khoobsoorti bhi shai kya hairat angez hai
Kya nigaah ka kul husn o jamaal hai

Puchhta hun tujh se main jo na samajh hun
Zindagi bata kab tera inteqaal hai

‘Sahil’, yeh kaisa ajab be dhanga sawaal hai
Dars yeh kis ka, kya tera apna khayal hai

Maazi Past
Mustaqbil. Future
Haal. Present
Muhaal difficult
Darakhshan. Shining
Urooj e aftaab. Sunrise
Jah o jalaal. Splendour. Magnificence
Hairat angez. Amazing wondrous
Husn o jamaal. Beauty
Inteqal. Demise

Ashok sawhny ‘Sahil’

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *