ENTERTAINMENTStory/PoetryTRENDING NEWS

Woh naseem thi, saba thi, hum simoom

Woh naseem thi, saba thi, hum simoom
Woh shhatir awwal aur hum maasoom

Un saazgaar hawaon ka bharosa kya hai
Be zarar ko nahin hota yeh sab maaloom

Woh kya jaane lutf aashnayi ka, naaseh
Jo khud hi se ho jaaye bad bakht mehroom

Aawaragi hai fitrat insan ki zurur
Ai dil, reh kar hadon men be shak tu jhoom

Subh na shab kuchh nahin hai javaid
Faani hai sab yahan kya hai qayyum

In baaton ki samajh gar nahin hai tujhe
To ‘sahil’, tu hum se aa kar jaan lena mafhoom

Naseem Saba gentle breezes
Simoom  hot winds
Shaatir cunning
Saazgaar  pleasant welcome
Be zarar  innocent
Ashnayi  familiarity
Naseh counsellor
Mehroom  alone lost
Bad bakht  unfortunate
Qayuum  eternal
Mafhoom matlab

 

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *