Samajhdaar hai dunya vaaiz, samjhana kya

Samajhdaar hai dunya vaaiz, samjhana kya
Andaleeb ko ab naghma sunaana kya

Rooth jaate hain ghair, hain apnon ke nakhre
Dil to apna hai phir usey manaana kya

Dhundli ho jaatin hain yaaden bhi sab
Talkh maazi ko phir ab mitaana kya

Jhuka leen gar palken, to purdah woh kaisa
Qalb e momin se yaro chupaana kya

Kum saabir hain log, aur hasad hai zyada
Intebaah! Shaadmaan ho kar dikhaana kya

Rona aata hai sab ko, farzi hai sab kuchh
Phir, kisi ke dil ko aag lagana kya

Pyaas aankon ki bujhti hai nami se, jab
‘Sahil’, phir charagh e gham ko bujhaana kya

Vaaiz. Preacher
Talkh maazi. Bitter past
Qald e momin. Heat of the Believer
Hasad. Jealousy
Itebaah. Warning
Nami. Wet
Ashok sawhny ‘Sahil’

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *