Pursish kaisi chashm e num se kaisa woh nazara tha

Pursish kaisi chashm e num se kaisa woh nazara tha
Sailaab kya batlaayega kaunsa woh kinara tha

Maante hain jo chaarahgar Rab ko sab se aala
Us mehfil men to na kabhi koi be chaarah tha

Shiddaten tufanon ki ek jaisi to hoti nahin
Kya khabar waqt e azaab kis ne kaisa guzara tha

Baareekiyon men mat jao, insan uljha hua hai
Kaun jaane taara kaunsa, awwara ya sayaara tha

Zikr tootey najam ka kyon karta hai tu, ‘sahil’
Khuda hi jaane woh kis kis ka ahm sahara tha

Pursish. Puchhna
Chashm num. teary eye
Sailaab. Flood
Shiddaten severity
Waqt e azaab bad times
Sayyara. Traveller
Najam. Star
Ahm. Most important
Ashok Sawhny ‘Sahil’

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *