Taaza kalaam
Na bujhen chiraagh dil ke to raat hogi kaise
Aur andherey na hon to mulaqaat hogi kaise
Dil ki dhadkan hi to sada e dil hai, ‘sahil’
Kh- moshi na ho to phir baat hogi kaise
Zabaan shireen na ho to mithaas hogi kaise
Dil se na di jaaye to saughaat hogi kaise
Jazba na ho to phir insan kya ho, yaro
Be hissi ke maahaul men kaaenaat hogi kaise
Baat bisaat ki hai zindagi ke mohron ki
Dil na haara to ‘sahil’ phir maat hogi kaise
Sent from my iPad